girte hue jab main ne tera nam liya hai
manzil ne wahin baDh ke mujhe tham liya hai
mai-KHwar to hai mohtasib-e-shahr ziyaada
rindon ne yunhi muft mein ilzam liya hai
wo mil na sake yaad to hai un ki salamat
is yaad se bhi hum ne bahut kaam liya hai
har marhala-e-gham mein mili is se tasalli
har moD pe ghabra ke tera nam liya hai
tujh sa koi rahbar nahin ai duri-e-manzil
ehsan tera hum ne bahr-gam liya hai
ai shaiKH dil-e-saf yunhi to nahin milta
hum ne asar-e-ru-e-dil-aram liya hai
sajdon mein wo pahli se halawat nahin 'kausar'
jab se asar-e-gardish-e-ayyam liya hai
Ghazal
Girte hue jab maine tera nam liya hai
Kausar Niyazi