اردو हिंदी
Girte hain log garmi-e-bazar dekh kar | Shaahi Shayari
girte hain log garmi-e-bazar dekh kar

Ghazal

Girte hain log garmi-e-bazar dekh kar

Abdul Hamid Adam

;

girte hain log garmi-e-bazar dekh kar
sarkar dekh kar meri sarkar dekh kar

aawargi ka shauq bhaDakta hai aur bhi
teri gali ka saya-e-diwar dekh kar

taskin-e-dil ki ek hi tadbir hai faqat
sar phoD lijiye koi diwar dekh kar

hum bhi gae hain hosh se saqi kabhi kabhi
lekin teri nigah ke atwar dekh kar

kya mustaqil ilaj kiya dil ke dard ka
wo muskura diye mujhe bimar dekh kar

dekha kisi ki samt to kya ho gaya 'adam'
chalte hain rah-rau sar-e-bazar dekh kar