girta raha main rah mein lekin sambhal gaya
main aaj kis maqam ki jaanib nikal gaya
socha kiya tha rah ye aasan hai magar
pahle qadam pe panw mera kyun phisal gaya
adna sa ek fareb tha badla jo ye libas
aafat to tab paDi ki main jab KHud badal gaya
aankhen thi sharmsar kahin chain bhi nahin
us ke magar KHayal se ye dil bahal gaya
ho gar KHata saza ka muqarrar hai ek din
'naqid' zahe-nasib ki wo waqt Tal gaya
Ghazal
Girta raha main rah mein lekin sambhal gaya
Aditya Pant u0027Naaqidu0027