girna nahin hai aur sambhalna nahin hai ab 
baiThe hain rahguzar pe chalna nahin hai ab 
pichhla pahar hai shab ka sawere ki KHair ho 
bujhte hue charagh hain jalna nahin hai ab 
hai aastin se kaam na daman se kuchh gharaz 
patthar bane hue hain pighalna nahin hai ab 
manzar Thahar gaya hai koi dil mein aan kar 
duniya ke sath us ko badalna nahin hai ab 
lab-ashna-e-harf-e-tabassum nahin rahe 
dil ke lahu ko ashk mein Dhalna nahin hai ab
        Ghazal
Girna nahin hai aur sambhalna nahin hai ab
Mughni Tabassum

