اردو हिंदी
Giri gir kar uThi palTi to jo kuchh tha uTha lai | Shaahi Shayari
giri gir kar uThi palTi to jo kuchh tha uTha lai

Ghazal

Giri gir kar uThi palTi to jo kuchh tha uTha lai

Agha Shayar Qazalbash

;

giri gir kar uThi palTi to jo kuchh tha uTha lai
nazar kya kimiya thi rang chehron se uDa lai

KHuda ke waste saffakiyan ye kis se sikhi hain
nazar se pyar manga tha wo ek KHanjar uTha lai

na hasrat hi nikalti hai na dil ko aag lagti hai
meri hasti mere daman mein kya kanTa laga lai

wo sab badmastiyan thin zar ki ab zar hai na pite hain
hamari muflisi KHud rah par hum ko laga lai

miTane ko hamare ye zamin-o-asman donon
hamesha mil ke chalte hain ba-in pasti-o-baalai

jo kuchh dekha na dekha jo suni wo an-suni 'shair'
na aae hum yahan ye zindagi muft-e-KHuda lai