girah jo kaam mein Dale hai panja-e-taqdir
majal kya ki khule wo ba-naKHun-e-tadbir
dila taDaph ke tu nikla paDe hai sine se
ye ghar ujaD na ai ghar base pakaD Tuk dhir
shab-e-firaq mein jaanan ki main raha jita
ki saKHt-jaan hai mujh ko hijab daman-gir
lab us ke dekho to hai zulm-o-KHun KHuri ki dalil
siyah misi pe nahin surKH pan ki tahrir
ye phenk tir-e-nigah ji se mar Dalen hain
batao kar sake be-jaan sitam ki kya taqrir
Tuk aankh uTha ke jo dekha nazar se de paTka
na thi ye 'azfari' itni gunah ki tazir
Ghazal
Girah jo kaam mein Dale hai panja-e-taqdir
Mirza Azfari