giraftari ki lazzat aur nira aazad kya jaane
KHushi se kaTna gham ka dil-e-nashad kya jaane
isi ghaflat se lazzat haigi hasil KHwab-e-shirin mein
hamari talKH-kaami ka maza farhad kya jaane
tasawwur surat-e-mani ka bandhe hai qusur-e-dil
haqiqat ki ye sanat mani-o-bahzad kya jaane
taraddud mein hai mere zabh ke ai 'ishq' wo ab tak
nigah-e-naz se bismil hua jallad kya jaane
Ghazal
Giraftari ki lazzat aur nira aazad kya jaane
Ishq Aurangabadi