اردو हिंदी
Giraft-e-zist mein hun qaid-e-be-hisar mein hun | Shaahi Shayari
giraft-e-zist mein hun qaid-e-be-hisar mein hun

Ghazal

Giraft-e-zist mein hun qaid-e-be-hisar mein hun

Basheer Ahmad Basheer

;

giraft-e-zist mein hun qaid-e-be-hisar mein hun
azab-e-arsa-gah-e-jabr-o-iKHtiyar mein hun

KHayal hai to abhi DhunDh phir milun na milun
abhi main tere uDae hue ghubar mein hun

bhaDak raha hai badan ruh ko KHabar bhi nahin
ye kya maqam hai ye kaise shoala-zar mein hun

main kaun hun tere nazdik ye sawal nahin
hubab hun ki sadaf bahar-e-be-kanar mein hun

KHud apne aap se har dam hun barsar-e-paikar
main apni zat ke maidan-e-kar-zar mein hun

mein bhed kya tujhe dun be-karan KHalaon ke
ki main azal se isi halqa-e-madar mein hun

talash kis ki hai mujh ko abhi ye kya sochun
'bashir' abhi to main apne hi intizar mein hun