giraft-e-karb se aazad ai dil ho hi jaunga
abhi rasta hun main ek roz manzil ho hi jaunga
utar jaane de wahshat mere sar se habs-e-KHalwat ki
main bit-tadrij phir manus-e-mahfil ho hi jaunga
gire gar mujh pe barq-e-iltifat-e-chashm-e-tar har dam
to main bil-jabr teri samt mail ho hi jaunga
ba-sad tarkib rakkhe hain qadam tartib se main ne
agar tartib ye bigDi main zail ho hi jaunga
mata-e-jaan to meri zat ka hissa hai ek din main
tu mil jaega to insan-e-kaamil ho hi jaunga
meri mazlumiyat ki raushni har-su bikharne de
sar-e-maqtal main pesh-e-tegh-e-qatil ho hi jaunga
zara sa Thahar jaen be-KHudi ki muztarib maujen
ai dasht-e-gham main ek KHamosh sahil ho hi jaunga
payambar dard ka ban ke tu gar duniya mein aaega
sahifa ban ke ashkon ka main nazil ho hi jaunga
kaha us ne qarib aa kar 'nadim' ashaar ki surat
rag-e-afkar mein teri main shamil ho hi jaunga
Ghazal
Giraft-e-karb se aazad ai dil ho hi jaunga
Nadeem Sirsivi