girani-e-shab-e-hijran do-chand kya karte
ilaj-e-dard tere dardmand kya karte
wahin lagi hai jo nazuk maqam the dil ke
ye farq dast-e-adu ke gazand kya karte
jagah jagah pe the naseh to ku-ba-ku dilbar
inhen pasand unhen na-pasand kya karte
hamin ne rok liya panja-e-junun warna
hamein asir ye kotah-kamand kya karte
jinhen KHabar thi ki shart-e-nawa-gari kya hai
wo KHush-nawa gila-e-qaid-o-band kya karte
gulu-e-ishq ko dar-o-rasan pahunch na sake
to lauT aae tere sar-buland kya karte
Ghazal
Girani-e-shab-e-hijran do-chand kya karte
Faiz Ahmad Faiz