gir ke qadmon pe sar-e-bazm taDapna dekha
marne wale ka meri jaan tamasha dekha
ek jahan tera tamashai hai sab ko hai KHabar
aaina dekh ke mujh ko ye bata kya dekha
khol kar nama mera us ne paDha bhi ki nahin
nama-bar meri taraf se use kaisa dekha
dil jise kahte hain pahlu mein kabhi wo hoga
hum ne to dil ki jagah dagh-e-tamanna dekha
kaun kahta hai ki shohrat tere aashiq ki nahin
us ko to kucha-o-bazar mein ruswa dekha
aaina-KHane mein nikla na koi tera jawab
yahi kahta tha mohabbat ka taqaza dekha
tum to masruf rahe husn ki aaraish mein
hum ne aaine mein kal ek sitam-ara dekha
jal gaya tur gire hazrat-e-musa ghash mein
kya kaleja tha ki jis ne tera jalwa dekha
ishq ki ye bhi karamat hai agar tum samjho
tum ne apna meri aankhon mein samana dekha
TikTiki bandhe hue dekh raha tha tum ko
tum ne 'shankar' ka bhi mahfil mein tamasha dekha
Ghazal
Gir ke qadmon pe sar-e-bazm taDapna dekha
Shankar Lal Shankar