gir jae jo diwar to matam nahin karte
karte hain bahut log magar hum nahin karte
hai apni tabiat mein jo KHami to yahi hai
hum ishq to karte hain magar kam nahin karte
nafrat se to behtar hai ki raste hi juda hon
bekar guzargahon ko baham nahin karte
har sans mein dozaKH ki tapish si hai magar hum
suraj ki tarah aag ko maddham nahin karte
kya ilm ki rote hon to mar jate hon 'faisal'
wo log jo aankhon ko kabhi nam nahin karte
Ghazal
Gir jae jo diwar to matam nahin karte
Faisal Ajmi