gir gae jab sabz manzar TuT kar
rah gaya main apne andar TuT kar
so rahe the shahr bhi jangal bhi jab
ro raha tha nila ambar TuT kar
main simaT jaunga KHud hi dosto
main bikhar jata hun aksar TuT kar
aur bhi ghar aandhiyon ki zad mein the
gir gaya us ka hi kyun ghar TuT kar
ro raha hai aaj bhi taqdir par
sabz-gumbad se wo patthar TuT kar
ab nahin hota mujhe ehsas kuchh
main hun ab pahle se behtar TuT kar
chand hi lamhon mein 'tabish' bah gaya
meri aankhon se samundar TuT kar
Ghazal
Gir gae jab sabz manzar TuT kar
Zafar Tabish