اردو हिंदी
Gin ke deta hai bala-noshon ko paimana abhi | Shaahi Shayari
gin ke deta hai bala-noshon ko paimana abhi

Ghazal

Gin ke deta hai bala-noshon ko paimana abhi

Shauq Bahraichi

;

gin ke deta hai bala-noshon ko paimana abhi
waqai bilkul gadha hai pir-e-mai-KHana abhi

guftugu karte hain baham jam-o-paimana abhi
qabil-e-tarmim hai aain-e-mai-KHana abhi

ho na kyun-kar wardat-e-qatl rozana abhi
ku-e-qatil mein nahin chauki abhi thana abhi

dekhte to hain wo har shai be-niyazana abhi
ral girti hai magar be-iKHtiyarana abhi

shaiKH rahte hain sharik-e-bazm-e-rindana abhi
muft milti hai to pi lete hain rozana abhi

kya kahen kis se kahen apne numaindon ka haal
jaise Daka marta phirta hai sultana abhi

kaise pahunchen us ke dar tak panw mein taqat nahin
wo hai ludhiyana mein aur hai dur ludhiyana abhi

us lab-e-jaan-baKHsh mein dekhi nahin jumbish hanuz
wae nakaami muqaffal hai shifa-KHana abhi

bap ka saya to bachpan hi mein uTTha tha magar
shaiKH milte hain ba-andaz-yatimana abhi

us ke aage kya haqiqat aastin o jaib ki
noch Dale daman-e-mahshar bhi diwana abhi

mel to shaiKH o barhaman mein rahe baham magar
gaDbaDae hai faza-e-firqa-warana abhi

hum ne mana ye ki zahid hai buzurg-o-mohtaram
baat karta hai magar kambaKHt bachkana abhi

kar chuke hain naqd KHidmat jabiran-e-qaum ki
de chuke hain bech ke ghar-bar jurmana abhi

dirham-o-dinar ke hamrah aksar besh-tar
jaan ka bhi de chuke hain log nazrana abhi