اردو हिंदी
Gila kya karun ai falak bata mere haq mein jab ye jahan nahin | Shaahi Shayari
gila kya karun ai falak bata mere haq mein jab ye jahan nahin

Ghazal

Gila kya karun ai falak bata mere haq mein jab ye jahan nahin

Gorbachan Singh Dayal Maghmum

;

gila kya karun ai falak bata mere haq mein jab ye jahan nahin
kahun kaise haal-e-dil un se main meri hilti tak ye zaban nahin

ye bhanwar hain bahr-e-hayat ke main hun KHasta-haal-o-shikasta-o-dil
meri Dagmagati hai naw ab kahin milta mujh ko karan nahin

tujhe DhunDun bhi to kahan ki jab hun main KHud hi zulmat-e-yas mein
mujhe bazm-e-hasti mein mil saka tere naqsh-e-pa ka nishan nahin

gham-e-dil hi mera nikal do meri zindagi se jo tum agar
to wo dastan hi kuchh aur hai mere haal-e-dil ka bayan nahin

main sunaun kis ko ye haal-e-dil main dikhaun kis ko ye dard-o-gham
main hun aisi haalat-e-zar mein ki KHud apna mujh ko guman nahin

nahin git baada-o-jam ke yahan aur hi koi baat hai
ki main jis bala mein hun mubtala wo bala-e-ishq-e-butan nahin

tu hai zarre zarre mein zau-fishan nahin milta phir bhi kahin nishan
koi 'shaghl' ab ye batae kya tu kahan hai aur kahan nahin