اردو हिंदी
Gila tere firaq ka jo aaj-kal nahin raha | Shaahi Shayari
gila tere firaq ka jo aaj-kal nahin raha

Ghazal

Gila tere firaq ka jo aaj-kal nahin raha

Arif Ishtiaque

;

gila tere firaq ka jo aaj-kal nahin raha
to kyun bhala ye mustaqil azab Tal nahin raha

main kis se iltija karun kahan se ibtida karun
dua ahal rahi nahin gila badal nahin raha

main raston ki bhiD mein kahan ye aa gaya ki ab
koi bhi rasta teri gali nikal nahin raha

wo naqsh-e-pa ko dekh kar chala ho mujh ko DhunDne
isi guman ke ewaz main tez chal nahin raha

faqat yahi hai aarzu tu mil kahin to ru-ba-ru
ye dil tere firaq mein kahin sambhal nahin raha