gila kis se karen aghyar-e-dil-azar kitne hain
hamein malum hai ahbab bhi gham-KHwar kitne hain
sakat baqi nahin hai qum be-iznillah kahne ki
masiha bhi hamare daur ke bimar kitne hain
ye socho kaisi rahon se guzar kar main yahan pahuncha
ye mat dekho mere daman mein uljhe KHar kitne hain
jo sote hain nahin kuchh zikr un ka wo to sote hain
magar jo jagte hain un mein bhi bedar kitne hain
bahut hain muddai sach ki taraf-dari ke ai 'zahid'
magar jo jhuT se hain bar-sar-e-paikar kitne hain
Ghazal
Gila kis se karen aghyar-e-dil-azar kitne hain
Abul Mujahid Zahid