اردو हिंदी
Gila hai shauq ko dil mein bhi tangi-e-ja ka | Shaahi Shayari
gila hai shauq ko dil mein bhi tangi-e-ja ka

Ghazal

Gila hai shauq ko dil mein bhi tangi-e-ja ka

Mirza Ghalib

;

gila hai shauq ko dil mein bhi tangi-e-ja ka
guhar mein mahw hua iztirab dariya ka

ye jaanta hun ki tu aur pasuKH-e-maktub
magar sitam-zada hun zauq-e-KHama-farsa ka

hina-e-pa-e-KHizan hai bahaar agar hai yahi
dawam-e-kulfat-e-KHatir hai aish duniya ka

gham-e-firaq mein taklif-e-sair-e-bagh na do
mujhe dimagh nahin KHanda-ha-e-beja ka

hanuz mahrami-e-husn ko tarasta hun
kare hai har-bun-e-mu kaam chashm-e-bina ka

dil us ko pahle hi naz-o-ada se de baiThe
hamein dimagh kahan husn ke taqaza ka

na kah ki girya ba-miqdar-e-hasrat-e-dil hai
meri nigah mein hai jam-o-KHarch dariya ka

falak ko dekh ke karta hun us ko yaad 'asad'
jafa mein us ki hai andaz kar-farma ka

mera shumul har ek dil ke pech-o-tab mein hai
main muddaa hun tapish-nama-e-tamanna ka