gila ai dil abhi se karta hai
ishq ka dam usi pe bharta hai
jaan deta hai aish-e-fani par
bas isi zindagi pe marta hai
rahat-e-jawedan ko bhul gaya
koi duniya mein ye bhi karta hai
ishq ban kar jiye to KHak jiye
zinda wo hai jo un pe marta hai
nam par us ke sab jo de baiTha
wahi ek hai jo nam karta hai
waqf momin hai aazmaish-e-ishq
is mein pura wahi utarta hai
jis ko duniya ne na-murad kiya
wahi nakaam kaam karta hai
hai musalman ki bas yahi pahchan
ki faqat ek KHuda se Darta hai
qaul-e-momin hai us ke fel ki sharh
wo jo kahta hai kar guzarta hai
mutmain rah dila wo jaan-e-jahan
wada kar ke kahin mukarta hai
mere rang-e-kafan ki shoKHi dekh
yun hi aashiq tera sanwarta hai
aaj kar lo jo kar sako kal tak
kaun jita hai kaun marta hai
qulzum-e-ishq mein gira so gira
us ka Duba kahin ubharta hai
is qadar ehtiyat ai sayyaad
ki qafas mein bhi par katarta hai
wahi din hai hamari id ka din
jo teri yaad mein guzarta hai
mai-e-islam ka bhala 'jauhar'
nashsha chaDh kar kahin utarta hai
Ghazal
Gila ai dil abhi se karta hai
Mohammad Ali Jauhar