gil hai aariz to qadd-e-yar daraKHt
kab ho aisa bahaar-dar daraKHt
rashk se ek nihaal qad ke tere
kaT gae jal gae hazar daraKHt
KHwahish-e-sang thi jo majnun ko
qabr par bhi hai mewa-dar daraKHt
kis ki wahshat ne KHak uDai hai
dasht mein hain jo pur-ghubar daraKHt
daman-e-yar us se uljhega
ho na gulshan mein KHar-dar daraKHt
nala-e-kohkan se jal uTThe
the jo baala-e-kohsar daraKHt
dast-e-rangin ka us ke kushta hun
ho hina ka sar-e-mazar daraKHt
jis jagah dafn tha ye soKHta-jaan
na uga wan se zinhaar daraKHt
zinat-e-KHana-bagh kaun hai aaj
sajda karte hain bar-dar daraKHt
barg malte hain jo kaf-e-afsos
kis ke gham mein hain sogwar daraKHt
gulshan-e-ishq ka tamasha dekh
sar-e-mansur phal hai dar daraKHt
dekhen gar tere qad ki baalai
sar uThaen na zinhaar daraKHt
be-samar ek raha ye naKHl-e-murad
yun to phule-phale hazar daraKHt
teri duri mein ai gul-e-KHubi
sukh kar ho gae hain zar daraKHt
saf-ba-saf hain khaDe jo gulshan mein
kab se bandhe hue qatar daraKHt
dekhte hain su-e-dar-e-gulzar
kis ke hain mahw-e-intizar daraKHt
mausam-e-gul hai josh-e-masti hai
lae gulshan mein barg-o-bar daraKHt
ji mein aata hai mai-kashi kije
tak kar koi saya-dar daraKHt
aalam-e-sheb mein hun yun 'ghafil'
bagh mein jaise be-bahaar daraKHt

Ghazal
Gil hai aariz to qadd-e-yar daraKHt
Munawar Khan Ghafil