gil bhik mein lete hain jis phul se ranai
hum ko bhi mayassar hai us nam se tanhai
donon ke muqaddar ki gardish hi nirali hai
ye qalb thaka-haara wo lala-e-sahrai
kyun KHalq ka shauq aaya koi kibr se ja puchhe
kya chiz thi tanhai? kya KHub thi yaktai?
yak-tarfa mohabbat ka har rang nirala hai
begana kare jag se ye rahmat-e-ruswai
taDpe hain malaek bhi wo qahr tha aaankhon mein
dekha tera shaidai to maut bhi ghabrai
dam sadhe wo shab aaya ek dip jala laya
turbat pe asiron ki bajti rahi shahnai
Ghazal
Gil bhik mein lete hain jis phul se ranai
Shuja