git mere hain magar nur-e-suKHan us ka hai
haq to ye hai ki mera jauhar-e-fan us ka hai
phul to phul hain kanTon ki rawish bhi us ki
baghban kuchh bhi kahe rang-e-chaman us ka hai
sabz mausam ki mere dar pe jo dastak jagi
main ne jaana ki yahi tarz-e-suKHan us ka hai
mauj-e-gul baad-e-saba rang-e-chaman aab-e-rawan
sare aalam mein agar hai to chalan us ka hai
us ki pahchan faqat koh-o-samundar se nahin
zarra-e-KHak bhi KHurshid-e-watan us ka hai
is se kya farq paDe tarz-e-nawa-sanji par
hamd us ki hai labon par ki bhajan us ka hai
main yam-e-waqt mein bahta hua tinka 'nami'
ye zamin us ki tamasha-e-zaman us ka hai

Ghazal
Git mere hain magar nur-e-suKHan us ka hai
Nami Ansari