gili miTTi se badan bante hue umr lagi
mujh ko sahra se chaman bante hue umr lagi
puKHtagi fikr mein yak-laKHt kahan aati hai
meri sochon ko suKHan bante hue umr lagi
ibn-e-adam ki hawas se mili sadiyon mein najat
bint-e-hawwa ko dulhan bante hue umr lagi
farq haalanki bahut thoDa hai donon mein magar
sar ke aanchal ko kafan bante hue umr lagi
hum to samjhe the wo mahkega gulon ki manind
par use ghuncha-dahan bante hue umr lagi
chand lamhon mein taghayyur ye nahin aaya hai
chhal ko duniya ka chalan bante hue umr lagi
main to bas itna kahunga meri mayusi ko
'shad' aasha ki kiran bante hue umr lagi
Ghazal
Gili miTTi se badan bante hue umr lagi
Shmashad shad