اردو हिंदी
Gili miTTi hath mein le kar baiTha hun | Shaahi Shayari
gili miTTi hath mein le kar baiTha hun

Ghazal

Gili miTTi hath mein le kar baiTha hun

Ambar Bahraichi

;

gili miTTi hath mein le kar baiTha hun
zehn mein ek dhundle paikar se uljha hun

pis raha hai dil ko ek wazni patthar
dub ko banhon mein bhar kar main hansta hun

tere hathon ne mujh mein sab rang bhare
lekin har pal ye ehsas adhura hun

dhup kabhi chamkegi is ummid pe main
barf ke dariya mein sadiyon se leTa hun

is jaanib kab ude baadal ne dekha
phir bhi main tanha sarsabz jazira hun

mera karb meri tanhai ki zinat
main chehron ke jangal ka sannaTa hun

ek dhundli taswir abhi aaankhon mein hai
is wadi se dur bhala kab rahta hun

raat ufuq par kuchh saye lahrae the
'amabar' ab tak aas lagae baiTha hun