ghuTi ghuTi si faza mein shaguftagi to mili
chaman mein shukr hai hansti koi kali to mili
bala se barq giri mere aashiyane par
andheri raat ke rahraw ko raushni to mili
raha na shikwa-e-be-chaargi ki ghurbat mein
qadam qadam pe sahaare ko be-kasi to mili
hamare dil se koi puchhe qadr us mai ki
jo ek bund sahi waqt-e-tishnagi to mili
sambhal sambhal ke mere dil ko toDne wale
teri jafa mein mohabbat ki chashni to mili
kisi ka bhi na rakha tha KHirad ne apne siwa
junun ki rah pe chalne se aagahi to mili
na tha nasib mein gar sim-o-zar to kya 'saqi'
dar-e-habib ki hum ko gadagari to mili
Ghazal
GhuTi ghuTi si faza mein shaguftagi to mili
Aulad Ali Rizvi