ghuTi ghuTi hi sahi meri chah le lena
safar tawil hai kuchh zad-e-rah le lena
main be-samar hi sahi phir bhi saya-dar to hun
kaDi ho dhup to mujh mein panah le lena
abhi to sath chalo han jahan main ruk jaun
tum us maqam se phir apni rah le lena
kisi maqam pe mumkin hai kaam aa jae
hamare bich jo thi rasm-o-rah le lena
wo kam-sawad sahi phir bhi ye nahin aasan
ghanim-e-dahr ke sar se kulah le lena
yahi bahut hai ki is daur-e-ibtila mein 'taqi'
kisi ka meri KHabar gah gah le lena
Ghazal
GhuTi ghuTi hi sahi meri chah le lena
Yusuf Taqi