اردو हिंदी
GhuT ke mar jaane se pahle apni diwar-e-nafas mein dar nikalo | Shaahi Shayari
ghuT ke mar jaane se pahle apni diwar-e-nafas mein dar nikalo

Ghazal

GhuT ke mar jaane se pahle apni diwar-e-nafas mein dar nikalo

Mohammad Ahmad Ramz

;

ghuT ke mar jaane se pahle apni diwar-e-nafas mein dar nikalo
dard ke viran khanDar se manzar-e-be-nam ko bahar nikalo

ab ye aalam hai ki har-su mawara-e-muntaha tak hain uDanen
aashiyan to ek qafas hai bahar aa bhi jao baal-o-par nikalo

KHud tumhaare apne zad par aa rahe hain itni saffaki bhi chhoDo
kuchh ziyaada ho gaya hai tegh-e-irshadat se jauhar nikalo

dekh lena mat kha jaega shah pa kar ye TeDha chalne wala
chaal uljhi hai koi paidal jamae rakkho koi ghar nikalo

aankhen kholo ab to mere zaKHm-e-dil bhi mundamil hone lage hain
man jao phir koi talwar uThao phir koi KHanjar nikalo

tah-nashin maujon ke pahre saKHt kar deta hai qasr-e-ab par wo
KHun pani kar ke apna pattharon ki oT se gauhar nikalo

ab KHuda jaane kahan le ja ke bikhrae hawa-e-waqt mujh ko
aao hath apna baDha kar tum bhi meri KHak chuTki-bhar nikalo

kis liye 'ramz' itni unchi tum ne kar rakkhi hain diwaren hunar ki
dekho apne sathiyon ko rauzan-e-KHud-agahi se sar nikalo