ghus ghusa kar sahi rawan to hai
dil buDhape mein bhi jawan to hai
go mazamin nahin hamare pas
shaeri ke liye zaban to hai
raaz to na hua jo batla dun
warna tu achchha raaz-dan to hai
ghusse mein ishq ko kaha gali
aur tu kah rahi hai han to hai
teri taswir khinchne ke baad
camera zeb-e-dastan to hai
aql rahti hai gham jahan sab ki
wo bhi aaKHir koi jahan to hai
ho siyasi ya chahe jazbaati
samain ke liye bayan to hai
chhoD kar jaane ka ho faeda kya
meri sochon mein karwan to hai
kuchh KHaridari ke liye 'muzdam'
KHwab mein hai magar dukan to hai
Ghazal
Ghus ghusa kar sahi rawan to hai
Muzdam Khan