ghonsle rakh ho gae jal ke
miT gae sab nishan jangal ke
aag barsa ke uD gaya baadal
par nikal aae mue baadal ke
chithDe oDh kar jo sota hun
KHwab aate hain mujh ko maKHmal ke
sanp un se lipaT gae aksar
hum ne boe the peD sandal ke
jis mein insaniyat nahin rahti
hum darinde hain aise jangal ke
jo hawa par sawar ho sahab
kab wo chalta hai sath paidal ke
aao bachchon ka ehtiram karen
ye to waris hain sahibo kal ke
apna haq baDh ke chhin lo yaro
yun dikhao na hath mal mal ke
kuchh batata nahin tera 'hasrat'
jaane ab dil mein kya hai pagal ke
Ghazal
Ghonsle rakh ho gae jal ke
Ajeet Singh Hasrat