ghire hain chaaron taraf bekasi ke baadal phir
sulag raha hai sitaron bhara ek aanchal phir
bas ek bar un aankhon ko us ne chuma tha
hamesha nam hi raha aansuon se kajal phir
ye kaisi aag hai jo por por raushan hai
ye kis ne rakh di meri ungliyon pe mashal phir
phir ab ki bar lahu-rang barishen barsen
kisi ne kaT diye hain saron ke jangal phir
ragon mein tapti hui KHushbuen machalne lagin
mala badan pe nae mausamon ne sandal phir
kahin to ret se chashma nikal hi aaega
bhaTak raha hai wo kandhon pe le ke chhagal phir
phir us akeli bhari dopahar ne jhulsa hai
ki yaad aane laga subh se wo pagal phir

Ghazal
Ghire hain chaaron taraf bekasi ke baadal phir
Rafia Shabnam Abidi