اردو हिंदी
Ghira hun do qatilon ki zad mein wajud mera na bach sakega | Shaahi Shayari
ghira hun do qatilon ki zad mein wajud mera na bach sakega

Ghazal

Ghira hun do qatilon ki zad mein wajud mera na bach sakega

Musavvir Sabzwari

;

ghira hun do qatilon ki zad mein wajud mera na bach sakega
main zard jangal se bach gaya to pahaD ek mushtail milega

hazimaton ke safar ka rahi ufuq ko dekhega bebasi se
ufuq se baDhta hua samundar zamin ko qadmon se khinch lega

jala ke ghar se raqib shamen hawa mein hum tum nikal paDe hain
yahi hai donon ko intizar ab ki pahle kis ka diya bujhega

phir ek saffak saKHt jhonka barahana-tar kar gaya shajar ko
jab us ko dekhoge KHatm-e-shab mein to patte patte se Dar lagega

gudaz jismon ki aahaTon ka tilism TuTa nawah-e-jaan mein
faza se ab koi hath baDh kar ujaDte mausam mein aag dega