ghir ke ghabraate na the hijr ke aazaron mein
jab ki taqat thi kabhi aap ke bimaron mein
le ke hum dil gae kahte ye jafa-karon mein
kaun leta hai ise itne KHaridaron mein
di rihai mujhe sayyaad ne ai wae nasib
daKHl jab fasl-e-KHizan ka hua gulzaron mein
mere marne ka hua ranj har ek qaidi ko
ki hai kohram bapa tere giraftaron mein
dast-e-nazuk se mujhe jam diya saqi ne
aabru baDh gai aur aaj se mai-KHwaron mein
aatish-e-hijr se kya Dar jo teri marzi se
raat kar denge basar loT ke angaron mein
phenk dena na kahin bhul ke hangam-e-sahar
dil bhi lipTa hai inhin sukhe hue haaron mein
nala-e-bulbul-e-shaida na jise phand sake
ye bulandi to nahin bagh ki diwaron mein
nikla wo tir-e-nigah bhi to ye kah kar nikla
mera daman na ulajh jae kahin KHaron mein
yun sunai gai hai us ko KHabar 'alim' ki
mar gaya koi tere taza giraftaron mein
Ghazal
Ghir ke ghabraate na the hijr ke aazaron mein
Mirza Altaf Husain Alim Lucknwi