اردو हिंदी
GhaTa diya rutba har hasin ka miTa diya rang hur-e-in ka | Shaahi Shayari
ghaTa diya rutba har hasin ka miTa diya rang hur-e-in ka

Ghazal

GhaTa diya rutba har hasin ka miTa diya rang hur-e-in ka

Jaleel Manikpuri

;

ghaTa diya rutba har hasin ka miTa diya rang hur-e-in ka
nahin hai ye chand chaudhwin ka shabab ka mere mah-jabin ka

ye raat hai wasl ki meri jaan bhare hain dil mein hazaron arman
nahin na nikle zaban se han han are ye mauqa nahin nahin ka

tabah wahshat mein hun main dar dar abhi bigaD jae ye bana ghar
jo dil mein rakkhun tujhe sitamgar to dil na rakkhe mujhe kahin ka

na qatl se mere hath khincho lahu baha kar bahaar dekho
paDegi uD kar jo chhinT is ki banegi wo phul aastin ka

sitam tha bachpan ka wo zamana ghazab wo dil ka pasand aata
wo god mein meri loT jaana machal machal kar kisi hasin ka

tumhin se ru-e-zamin moattar tumhin se sath-e-falak munawwar
tumhin to ho phul yasmin ka tumhin to ho chand chaudhwin ka

udhar saba ne ye gul khilaya chaman mein kaliyon ko gudgudaya
idhar hansi ne sitam ye Dhaya ki munh liya chum us hasin ka

ye raat itni jo baDh gai hai siyahi itni jo chaDh gai hai
kahin khula hai zarur joDa kisi ke gesu-e-ambarin ka

jo ghair se yar tu mila hai to dekh kaisa Dubo raha hai
tujhe mere aansuon ka dariya mujhe pasina teri jabin ka

na bahr jari sahab se hai na chah labrez aab se hai
wo daman-e-tar ka ek laqab hai ye nam hai meri aastin ka

jo dekh le us ki surat insan agar ho kafir to lae iman
jamal kya hai but-e-hasin ka kamal hai surat-afrin ka

na shauq-e-nazzara mujh se puchho ye kah ke sota hun roz shab ko
uThun jo main subh ko ilahi to munh dikhana kisi hasin ka

kuchh aisi ki main ne jabha-sai ki miT gai baKHt ki burai
mila jo us dar se dagh-e-sajda sitara chamka meri jabin ka

zaban se ho shukr ada kahan tak baDa hi tha dil-nawaz nawak
kuchh is ada se jigar pe baiTha maza mila yar-e-ham-nashin ka

phira adam se na koi hamdam ki haal yaron ka puchhte hum
ajib dilchasp hai do-alam ki jo gaya ho gaya wahin ka

araq araq hai jo ru-e-gul-gun ye KHub mauqa hai ab na chaukun
main sarnawisht apni dho hi Dalun pasina le kar teri jabin ka

'jalil' kya baat is suKHan ki ghazal mein hai tazgi chaman ki
jo sher hai shaKH nastaran ki jo lafz hai phul yasmin ka