gharaunde KHwabon ke suraj ke sath rakh lete
paron mein dhup ke ek kali raat rakh lete
hamein KHabar thi zaban kholte hi kya hoga
kahan kahan magar aankhon pe hath rakh lete
tamam jangon ka anjam mere nam hua
tum apne hisse mein koi to mat rakh lete
kaha tha tum se ki ye rasta bhi Thik nahin
kabhi to qafile walon ki baat rakh lete
ye kya kiya ki sabhi kuchh ganwa ke baiTh gae
bharam to banda-e-maula-sifat rakh lete
main bewafa hun chalo ye bhi man leta hun
bhale bure hi sahi tajrabaat rakh lete
Ghazal
Gharaunde KHwabon ke suraj ke sath rakh lete
Aashufta Changezi