ghar yar ka hum se dur paDa gai hum se rahat ek taraf
dil ek taraf aah ek taraf milne ki hasrat ek taraf
hai maut ka rang mera jiwna jiyun dhundla charagh hun main
sakraat ki zulmat ek taraf hasti ki tohmat ek taraf
ji aa raha dida-e-tar mein mujhe dam lene ki tab nahin
zoaf ek taraf dard ek taraf aur kahish-e-taqat ek taraf
jun musht-e-sipand mere aaza jal dil ke angare se uDte hain
daghon ka mahshar ek taraf nalon ki qayamat ek taraf
dil hat de yar ke kyunke liyun pher aah jahan ki malamat se
ji lewe hai ghairat ek taraf mare hai murawwat ek taraf
ghul hai pathraw hai laDkon ka ek aah ka laTh hai hat mere
hai sara aalam ek taraf diwana-e-'uzlat' ek taraf

Ghazal
Ghar yar ka humse dur paDa gai humse rahat ek taraf
Wali Uzlat