اردو हिंदी
Ghar se ye soch ke nikla hun ki mar jaana hai | Shaahi Shayari
ghar se ye soch ke nikla hun ki mar jaana hai

Ghazal

Ghar se ye soch ke nikla hun ki mar jaana hai

Rahat Indori

;

ghar se ye soch ke nikla hun ki mar jaana hai
ab koi rah dikha de ki kidhar jaana hai

jism se sath nibhane ki mat ummid rakho
is musafir ko to raste mein Thahar jaana hai

maut lamhe ki sada zindagi umron ki pukar
main yahi soch ke zinda hun ki mar jaana hai

nashsha aisa tha ki mai-KHane ko duniya samjha
hosh aaya to KHayal aaya ki ghar jaana hai

mere jazbe ki baDi qadr hai logon mein magar
mere jazbe ko mere sath hi mar jaana hai