اردو हिंदी
Ghar se tumhaari di hui chizen nikal den | Shaahi Shayari
ghar se tumhaari di hui chizen nikal den

Ghazal

Ghar se tumhaari di hui chizen nikal den

Fakhr Abbas

;

ghar se tumhaari di hui chizen nikal den
jaise KHud apne jism se sansen nikal den

dekha bas ek dafa use main ne qarib se
phir ahl-e-shahr ne meri aankhen nikal din

hairat hai us ne qaid bhi KHud hi kiya mujhe
phir KHud mere farar ki rahen nikal din

kuchh us ne bhi saheliyon ke munh se sun liya
kuchh mere doston ne bhi baaten nikal din

ek pal mein KHatm ho gai umr-e-tawil bhi
jab zindagi se hijr ki raaten nikal din

jaane wo kis ke waste likhi gain ai dost
main ne musawwade se jo nazmen nikal din