اردو हिंदी
Ghar se nikle der hui hai ghar ko lauT chalen | Shaahi Shayari
ghar se nikle der hui hai ghar ko lauT chalen

Ghazal

Ghar se nikle der hui hai ghar ko lauT chalen

Zahid Hasan Chugtai

;

ghar se nikle der hui hai ghar ko lauT chalen
gungi raaten dhup kaDi hai ghar ko lauT chalen

dur se tere mit aae hain tujh se rit nibhane
rauzan par zanjir paDi hai ghar ko lauT chalen

dhime dhime aanchal wali aaj bhi aas lagae
darwaze par aan khaDi hai ghar ko lauT chalen

basti basti charcha jin ka sunte sunte aae
shahr mein aa kar baat khuli hai ghar ko lauT chalen

kal 'chughtai' hum wahshi the aaj bhi hum diwane
kab se apni aas lagi hai ghar ko lauT chalen