ghar se nikle agar hum bahak jaenge
wo gulabi kaTore chhalak jaenge
hum ne alfaz ko aaina kar diya
chhapne wale ghazal mein chamak jaenge
dushmani ka safar ek qadam do qadam
tum bhi thak jaoge hum bhi thak jaenge
rafta rafta har ek zaKHm bhar jaega
sab nishanat phulon se Dhak jaenge
nam pani pe likhne se kya faeda
likhte likhte tere hath thak jaenge
ye parinde bhi kheton ke mazdur hain
lauT ke apne ghar sham tak jaenge
din mein pariyon ki koi kahani na sun
jangalon mein musafir bhaTak jaenge
Ghazal
Ghar se nikle agar hum bahak jaenge
Bashir Badr