ghar se nikla to mulaqat hui pani se
kahan milti hai KHushi itni farawani se
KHush-libasi hai baDi chiz magar kya kijiye
kaam is pal hai tere jism ki uryani se
samne aur hi diwar o shajar pata hun
jag uThta hun agar KHwab-e-jahanbani se
umr ka koh-e-giran aur shab-o-roz mere
ye wo patthar hai jo kaTta nahin aasani se
sham thi aur shafaq phuT rahi thi 'sarwat'
ek raqqasa ki jalti hui peshani se
Ghazal
Ghar se nikla to mulaqat hui pani se
Sarvat Husain