ghar se nikal ke aae hain bazar ke liye
ye bhiD-bhaD achchhi hai be-kar ke liye
hum yar ke liye hain na didar ke liye
Tairis pe aa ke baiThe hain aKHbar ke liye
dil-jui kar raha hai bahut der se tabib
kya aaKHiri dawa hai ye bimar ke liye
main ne to is dayar mein sab kuchh luTa diya
duniya safar pe jati hai ghar-bar ke liye
mere dil-e-tabah mein itni jagah kahan
us ne jagah nikali hai diwar ke liye
tum ne to mana jurm ka iqrar kar liya
lekin mujhe saza mili inkar ke liye
ai mah-ru umid ki koi kiran to ho
hum jaise tirgi ke giraftar ke liye
aisa nahin ki shahar mein aasaniyan na hun
lekin wo sab hain lamha-e-dushwar ke liye
Ghazal
Ghar se nikal ke aae hain bazar ke liye
Rasool Saqi