ghar se nikale panw to raste simaT gae
hum yun chale ki rah ke patthar bhi hiT gae
hum ne khule kiwaD pe dastak suni magar
wo kaun log the ki jo aa kar palaT gae
dar band hi rakho ki hawaon ka zor hai
ab ke khule kiwaD to samho ki piT gae
ghaarat-gari-e-zor-e-talatum are ghazab
kashti ke baadban hawaon se phaT gae
sahra ki tez dhup ghane jangalon ki chhanw
in mein mere nasib ke din raat baT gae
shohrat ki aarzu ne kiya be-watan hamein
itni baDhi gharaz ki usulon se haT gae
jab jab bhi main nai tark-e-watan ka kiya KHayal
qadmon se mere ganw ke raste lipaT gae
kin se karen shikayat-e-jaur-o-sitam 'zafar'
apne gale to apne hi KHanjar se kaT gae
Ghazal
Ghar se nikale panw to raste simaT gae
Zafar Kaleem