ghar se mera rishta bhi kitna raha
umr bhar ek kone mein baiTha raha
apne honTon par zaban ko pher kar
aansuon ke zaiqe chakhta raha
wo bhi mujh ko dekh kar jita tha aur
main bhi us ki aankh mein zinda raha
nisbaten thin ret se kuchh is qadar
baadalon ke shahr mein pyasa raha
shahr mein sailab ka tha shor kal
aur main tah-KHane mein soya raha
kha rahi thi aag jab kamra 'hasan'
main bas ek taswir se chimTa raha
Ghazal
Ghar se mera rishta bhi kitna raha
Hasan Abbasi