ghar se jata hun roz sham se main
raat bhar ke programme se main
ai meri jaan-e-intishaar-pasand
tang hun tere intizam se main
ye jo laDta-jhagaDta hun sab se
bach raha hun qubul-e-am se main
main utara gaya tha arsh se aur
farsh par gir paDa dhaDam se main
shakl ka lahiqa nahin ham-rah
jaana jata hun sirf nam se main
kya kahun ubne laga hun 'jamal'
ek hi jaise subh o sham se main
Ghazal
Ghar se jata hun roz sham se main
Jamal Ehsani