ghar se hamein jaane ki zarurat nahin ab kuchh
bahar ki hawa aa ke bata jati hai sab kuchh
kya tez hai ye mausam-e-baran-e-suKHan bhi
labrezi-e-dil kuchh hai nawa-KHezi-e-lab kuchh
kya dam-e-fusun zinda charaghon ke liye the
andaza-e-shab hum ko hua aaKHir-e-shab kuchh
aam itna raha shohra-e-zar shor-e-sara mein
kaam aai nahin narmi-e-tahzib-o-nasab kuchh
chup hain ki ek aashob-e-malamat mein ghire hain
aae the subuk lahje liye KHair-talab kuchh
ek shaKHs se paiman bahut soch ke bandha
phir hum ne tarasha nahin ranjish ka sabab kuchh
ai zi-hunaran tez-rawan asr-muridan
hum log dua-go hain hamara bhi adab kuchh
Ghazal
Ghar se hamein jaane ki zarurat nahin ab kuchh
Mahshar Badayuni