ghar se hum ghar talak gae honge
apne hi aap tak gae honge
hum jo ab aadmi hain pahle kabhi
jam honge chhalak gae honge
wo bhi ab hum se thak gaya hoga
hum bhi ab us se thak gae honge
shab jo hum se hua muaf karo
nahin pi thi bahak gae honge
kitne hi log hirs-e-shohrat mein
dar par KHud laTak gae honge
shukr hai is nigah-e-kam ka miyan
pahle hi hum khaTak gae honge
hum to apni talash mein akasr
az sama-ta-samak gae honge
us ka lashkar jahan-tahan yani
hum bhi bas be-kumak gae honge
'jaun' allah aur ye aalam
bich mein hum aTak gae honge
Ghazal
Ghar se hum ghar talak gae honge
Jaun Eliya