ghar se chiKHen uTh rahi thin aur main jaga na tha
itni gahri nind to pahle kabhi soya na tha
nashsha-e-awargi jab kam hua to ye khula
koi bhi rasta mere ghar ki taraf jata na tha
kya gila ek dusre se bewafai ka karen
hum ne hi ek dusre ko Thik se samjha na tha
gul na the jis mein wo gulshan bhi tha jangal ki tarah
ghar wo qabristan tha jis mein koi bachcha na tha
aasman par tha KHuda tanha magar 'arif-shafiq'
is zamin par koi bhi meri tarah tanha na tha
Ghazal
Ghar se chiKHen uTh rahi thin aur main jaga na tha
Arif Shafiq