ghar se burqa jo ulaT wo mah-e-taban nikla
chaunk uThi KHalq ki in mehr-e-daraKHshan nikla
mah ko aur tujh ko jo mizan-e-KHirad mein tola
is se to husn mein ai yar do chandan nikla
rah gae hosh-o-hawas-o-KHirad-o-taqat sab
yun tere kuche se main be-sar-o-saman nikla
yan talak tir-e-mizha khae hain main ne us ke
ja-e-sabza mere marqad pe niyastan nikla
tere bimar ki sunte hain ye haalat hai ki ab
jo gaya us ki KHabar ko so wo giryan nikla
wah kya toD teri tir-e-nigah ka hai ki yar
jis ke sine mein laga pusht se paikan nikla
sozish-e-dil ko bhi mere na bujhaya tum ne
kaam itna bhi na ai dida-e-giryan nikla
fath dijo tu use ya shah-e-mardan ki tera
mulk-giri ko jo hai ab ye 'sulaiman' nikla
Ghazal
Ghar se burqa jo ulaT wo mah-e-taban nikla
Nawab Sulaiman Shikoh