ghar se bahar kis bala ka shor tha
mere ghar mein jaise main KHud chor tha
main ne dil mein jhank kar dekha use
phir usi ka aks chaaron or tha
pahle nacha aur phir rone laga
mera dil bhi jaise koi mor tha
ghar ke andar KHak khane ko na thi
sarhadon par dushmanon ka zor tha
main ne kal raste mein dekha tha use
mujh ko kya malum tha wo chor tha
raat bhar 'alwi' ko main paDhta raha
yar wo shaer to sach-much bor tha
Ghazal
Ghar se bahar kis bala ka shor tha
Mohammad Alvi