ghar se ab bahar nikalne mein bhi ghabraate hain hum
sang-bari ho kahin bhi zad mein aa jate hain hum
aa gale lag ja hamare tirgi-e-sham-e-gham
raushni ke nam par dhoke bahut khate hain hum
un ka kahna hai ki bas tark-e-talluq ho chuka
hum ye kahte hain ki ab tanha rahe jate hain hum
yun to duniya ne bhi rakkha hai nishane par hamein
wahshat-e-dil se bhi kuchh aab-o-hawa pate hain hum
us ke ruKH par Dalte hain ek uchaTti si nazar
aur phir fikr-e-suKHan mein gharq ho jate hain hum
hans ke kar lete hain wo apne sitam ka e'tiraf
aur un ki is ada par qatl ho jate hain hum
dekhte hain muskura kar apne bachchon ki taraf
jab thakan ka bojh oDhe apne ghar aate hain hum
is qadar haalat ne 'nazir' badal Dala hamein
doston ke darmiyan ab kam nazar aate hain hum
Ghazal
Ghar se ab bahar nikalne mein bhi ghabraate hain hum
Nazir Siddiqi